Wednesday, October 8, 2008

FRIENDSHIP

Wo jo mere dard ko apna dard kahta haiHans k zakhm jo mere apni jaa’n pe sahta haiAjnabi hua hai tu kitne dard degayaNind khwab legaya ..aah-e-sard degaya

Jubse usko paaya tha dard main kami thi kuchAnkh num tu thi lekin thori kum nami thi kuchMeri zaat ke sub ghum usko apne lagte thayUske lahje ke mosam jese sapne lagte thay

Shaam hote hi meri yaad ke daricho’n mainDard ki tapish uski sath sath ati thiOr us se milte hi phir se laut jati thiIs guma’n pe ke shayad ab nahi hun main tanha

Sath hai kisi ka ab mere safar main pinha …Par hamari qisamt main DARD hi mashiyat haiDard hi ta’assur hai .. dard hi waseeyat haiDard orhna apna..dard hi bichona hai

Dard hi pe hansna hai… dard hi pe rona hai ..!!bheeg jayen jab ankhain phir unhain chupana haiDard sahtay rahna hai …. OR ISI DARD K GALAY LAG K

AIK DIN MAR JANA HAI…!!!!

Rutho na a dost k fir!
roth jany waly maan b jaien tu
manany waly thak sy jaty hyn
aur hamary sath zindagi k saffer mien
chalny k qabil nahi rehty
khafa na ho a sathi k fir!
khafgion k mosum dyr tak nahi telty
dil-o-jaan mien,ruh k ander bohat hi
bohat hi door ja ker basyra kerty hyn
naraz na ho a hamdam k fir!
narazgi kadurraton ko janm dyti hy
kadurratien dil ki fir nahi jatien
aur!
zindagi ki shaffaf rahien dhundli-o-gurd aalood ho jati hyn
so myry dost ,myry sathi,myry hamdam!
mujhy aatbar ka maan do

Khamoshi se Dosti kar liye

Zindagi mein baatein bahut kar liye…
Sun liye hai zawab bhi…kabhi Dosto se, Kabhi Dushmano se,
Lavso ke is bhir mein ghutan si hoti hai ab to….
Mujhe sannata chahiye….. …
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye…..
Baaton ki tanashahi bardasht karne ki taaqat na rahi……..
Viraane mein sar chupane ki jagah chahiye….. ….
Alfaazon ki koi matlab hi nahi milta……. .
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye…..
Rahegi tamannaye, tamannaye to rahti hai…….
Par halaat yeh hai ki ab saare Hosh’o'Hawas kho chuke……. .
Is Bedardi ko kab tak jhel sakti hai yeh Dil’o'Dimaag……
Armaano se tang aa chuke hai hum bhi……
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye…..
Musquraahaton se roshan hoti rahegi yeh Duniya…… ..
Mujhe roshniyon se dar lagne laga hai……
Mujhe Andhera Chahiye…..
Isliye Khamoshi se Dosti kar liye…..

No comments: